Sunday, January 27, 2013

Ghar YAAD AATA HAI MUJHE


Ghar Yaad aata hai mujhe (Satyamev Jayate): Lyrics, Translation

Show: Satyamev Jayate
Lyrics: Svati ChakravartySuresh Bhatia
Music: Sona MahapatraRam Sampath

wo garmiyon ki raat
wo jaade ki baat
wo paani ka matka rasoi ke swaad
sab satata hai mujhe
ghar yaad aata hai mujhe


saathi ik saath hai
itni si baat hai
wo ped wo aangan dikhana hai use
kehta hai mann mujhe
ghar yaad aata hai mujhe




jin dilon mein raha main barson tak
ek hissa un mein mera bhi tha
phir wahin rehna hai mujhe
ghar yaad aata hai mujhe



sehme chaukhat pe khade
mera mann ye kahe
pyaar karna seekha tha tumse
pyaar tumse phir paana hai
kitni doge saza,
ab to de do duaa
intezaar ab hai mujhe
ghar yaad aata hai mujhe



No comments: