Sunday, November 10, 2013

Dhoondte reh jaaoge......


Dhoondte reh jaaoge......

This is a lovely poem by Arun Gemini. I relaly fell in love with this Poem the first time i have heard in SABB TV Show "WAH WAH KYA BAAT HAI".

We all know Times are changing fast. So many things we witnessed in our childhood appear to have vanished now. Soon many other old and traditional things will vanish. Our next generation will not ever see many things and traditions we saw. So here Here is excerpt from a lovely poem by Arun Jamini. He lists some amazing items that we sure would lose very soon.


Dhoondte reh jaaoge.....



Chizoon mein cheez, batoon mein baat 
21vi sadi mein vo hongi jinhe khoj nahi paoge dhoondte reh jaaoge.........

Aakhon mein pani, Dadi ki kahani
Nal mein jal, Pyaar ke do pal
Santo ki vaani, karn jaisa daani
Ghar mein mehmaan, Manushyata ka sammaan
Braj ka faag, Aag mein aag
Tarajoo mein batta, Aur ladkiyo ka dupatta
Dhoondte reh jaaoge....


Bharat sa bhai, Laxman sa anuyayi
Choodi bhari kalai, Shaadi mein shehnaai
Burai ki burai, Sach mein sachhai
Daridra ki holi, Aangan mein rangoli
Paropkaari bande, Aur arthi ko kandhe

Dhoondte reh jaaoge......

Aapas mein pyaar, Bhara poora parivar
2 rupaye udhaar, Neta imandaar
Dosti mein lihaz, Sangeet mein riyaaz
Sadak kinare pyaoo aur uncle ki jagah chacha Aur tau 

Dhoondte reh jaaoge......

Gaata hua gaon, Bargad ki chaaon
Mehnat ki aas, Chaach ka gilaas
Mehnat ka fal, Kisan ka hal
Lamba lamba ghoongat, Chehkta hua panghat
Lajja se thar thar kaapte aur pehlwaan ka langot 

Dhoondte reh jaaoge.....

Afsar jo Rishwat na khaaye,
Aisi biwi jo Rah dikhaye,
Kanoon jo Nyaye dilaaye,
Neta jo Paise na khae,
Adhyapak jo Sachmuch padhaye
Aisa baap jo Samjhaye
Aur aisa beta jo Samajh jaye

Dhoondte reh jaaoge.....

Dhoondte reh jaaoge.....

Dhoondte reh jaaoge....

No comments: